Geet and Songs

Home Page About me Key to translitration Introduction of poetry Rules of classical poetry The Best Five The Last Five Ghazals Nazm Kavitaye Geet and Songs Ash'aar and Qat'aat

SONGS

1. hawa mein hai nasha nasha.
2. tu hi zindagi,
3. mujhse nazre churaoge,
4. ab to dil mein mere



NO 1.

hawa mein hai nasha nasha,
kah rahi hai kya ghaTA,
ye baat dil mein na chhupa,
kuchh mein kahoon kuchh tu suna,
(The wind seem to be drunken
the clouds want to tell something
Don't hide any thing in your heart,
I tell something, and you tell something)

tu dekh shaam Dhal ga'ii,
woh roshni bhi bhujh,
kya baat dil mein chubh gaii,
kyon aankh teri bhar gaii,
tu dekh mere honT par.
hai dard ki nishaaniyA,
(you see the evening is over
the lights are put off
but, by what you got hurted
why your eyes wet
you see on my lips the signs )

nazar ke hai woh saamne,
jo dil ke paas the kabhii,
jo dekhta hoon saamne,
na paata hoon unhe kahin,
ye khel door paas ke,
ye pyar ki kahaaniya.
(She is before my eyes,
once she was only on my heart,
but, when I see, I don’t find her,
these are the plays of near and far,
and stories of love)

(1212-1212)

###################################
NO 2

tu hi hai zindagi, tu hi hai zindagi,
tere bin mien nahi, tu hi hai zindagi,
saanse hai sab meri teri hi zindagi,

lahron mein tu hanse, jharno mein tu hi tu,
chandni hi hai teri, teri hi raagini,

maangu mein ye dua khudh rahe tu sada,
aarzu tu meri, tu meri bandagi,

tu mili ye laga miT gaye gham mere,
ye jahaan hai hansi tu meri har khushi,

(212x4)

####################################

NO. 3

ab to dil mein mere bas tera pyar hai,
pyar mein, tu bata tujhse kitna karoon,

tu mere saamne yoon hi bethi rahe,
har ghaDi mein tujhe yu'hin dekha karoon

dil pe apne likhu aa tera naam mein,
dil tere naam se ab sajaya karoon,

teri tasweer se baat karta rahoo.
tujhko khwabo mein apne bulaya karoon,

teri khushbu yahaan har jagah aa rahi,
tujhko saanso mein apni basAyA karoon.

(212x4)

##################################

NO 4

mujhse nazre churaoge,
jo pyar tumhe ho jayega,
dekh ke hamko sharmaoge,
jo pyar tumhe ho jayega,

jab saamne ham aayenge,
kuchh bhi na kah paaoge,
saari baatein bhul jaaoge,
jo pyar tumhe ho jayega,

uTh uTh ke hame sochego tum,
diwaro ko dekhoge tum
be wazah roye jaaoge,
jo pyar tumhe ho jayega,

jab naam mera le lega koii,
ya ziqra mera chhedega koii,
man hi man muskuraoge,
jo pyar tumhe ho jayega,

(2222,2212)

###########################