Latest Five Poems

Home Page About me Key to translitration Introduction of poetry Rules of classical poetry The Best Five The Last Five Ghazals Nazm Kavitaye Geet and Songs Ash'aar and Qat'aat

##############################################################

ghazal No 1.

ye dil ne kaha hai kabhi chand bankar, hamari gali mein bhi aayaa karo tum,
bahAna na aaye jo milne ka koii to, ban ke hawa ghar se jaaya karo tum,

barasti kaii hai ghaTAeN yahaN par hamare liye fir bhi koii nahi hai,
ghaTa ban ke sawan ki tum hi kabhi to, hamari bhi chhat ko bhigoya karo tum,

zamane ke bandhan, hayA ke takaze, nazaakat ki aadat, ho wazah koii bhi,
yaa duniya kare ye, sitam chahe jitne, mohabbat ko yuN na chhupaya karo tum,
(haya ke takaze-due to shyness, nazakat-modesty)

haNsi koii tumsA nahin hai zahaaN mein kahiN tum ko koii nazar lag na jaye,
zamane ki nazre buri hai bahoot khud ko nazro se sabki bachaya karo tum,

koii samjhega kya jo batein hai dil ki, kahi jaati dil se, suni jaati dil se,
jo batein hai dil ki, hamari tumhari, kisi ko bhi wo na, sunaya karo tum,

jo tohfa mohabbat ka mene diya tha, nahin aour kuchh tha, wo dil hi tha mera,
ye tohfe mohabat ke, mere tumhare, azizo ko bhi na dikhaya karo tum,
(azizo- close freinds)

hamesha rakha hai khula apne dil ke daricho ko humne tumhare liye hi,
ye dil ek ghar hai, tumhare liye hi, kabhi to yahaN par bhi aaya karo tum

(beher-122 x 8)
########################################

ghazal no. 2

YuN shamA nA tum bujhaao, raat baki hai abhi,
na uTho mahfil se yaaro, baat baki hai abhi,
(dont put off lamps, the night is still more
dont leave the party, something is to be said)

gahri aankho mein tumhari, kuchh aour bhi hai zaroor,
sirf aansu hi gira hai raaz baki hai abhi,
(in your deep eyes, something more is there
only a drop of tear has come out, the secret is still there)

kon kahta hai jahaaN mein ko'ii mera naa rahaa,
dushmano kaa hi sahi, saath baki hai abhi,
(who says, in this world no one is mine
I have a company even of enemies)

jal uTha tha shola bankar, bujh gaya hoon ab magar,
kon kahta miT gaya hooN, khaaq baki hai abhi, (khaq-ash)
(I got blazed, but now I am ceased
who says I got end, my ash is still there )

shab-e-furqat ka soya tha, bas abhi jAgA hoon mein,
nind puri ho ga'ii hai khwab baki hai abhi,
(shab-night, furkat-bichadna)
(I was sleeping since I got apart from my beloved, just now I got up
my sleep is over but dreams are still there)

aaj bhi pat'te shazar ke saath rahana chahte, (shazar-tree)
mosam-e-gul na raha zazbaat baki hai abhi, (zazbat-feelings)
(the leaves still want to be attached with trees
the spring is no more but the feelings are still there)

sar juda hai tan se dekho aankhe khuli hai magar,
khat'm mulzim gaya, faryAd baki hai abhi,
(the head is cut down from the body, and eyes are open
the culprit is no more, but plea is there)

(beher- 2122,2122,2122, 212)



#############################################

ghazal no.3

mere khuda mere zakhmo ko fir hara karde,
tamAm gham ko tu, mera hi hamnawa kar de, (hamnawa- communicator)
(My God, make all of my wounds afresh
and all sorrow only my communicator)

ye nishtaro ki guzar khatm hi nahi hoti, (nishtar-spine,guzar-way)
ke chal sakoo do kadam itnaa raasta karde,
(this spiny way is not ending,
clear it only for two steps)

sunA hai ab ke baras fir bahAr aayengi,
soone wiran dilo ko bhi kuch hara karde,
(I hope, this year the spring will come
you make green the deserted hearts)

mein jaanta hoon wo mera kabhi nahi hoga,
agar khuda hai kahin to, use mera kar de,
(I know, he would never be mine
If God exist, make him mine)

na ro'ye'nge mere haalAt pe mere hamdam,
de pat'tharo ko bhi gir'ya ye mo'jazA karde,
(girya-nature to weep, cry , mojaza-miracle)
(My friends will never cry for my sickness)
give power of crying to stones, do this miracle)

ye dhadkano ki awaze sone nahi deti
mere sine se meri dhadkane juda karde,
(the noise of my heart bits, disturbs me when sleep
take out the heart bits from my thorax)

udaas raat ki had pe gham-e-sahar hoti,(sahar-morning)
ye raat aour sahar ka, tu khatma karde,
(the sad night ends in a sorrowful morning
you end up the night and morning forever)

(beher 1212,1122,1212,22)